Maa Baap bade anmol
Hukme Khuda hai Inko kabhi
Tu Uff tak bhi na bol
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Baap shajar hai Shfakat ka
Aur Maa hai thankdi chhaon
Unki Duaein lete rehna
Chumte rehna paaon
Aur Kisi rishte se inka
Pyar kabhi na tol
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Jaisi ho Aulad bhale
Har aan Duaein dete hein
Chumte hein Aulad ka matha
Sar ki balaein lete hein
Inki mamta aur shafkat mein
Aata nahi hain jhol
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Hukme Khuda hai Inko kabhi
Tu Uff tak bhi na bol
Karta hai aulad ki khatir
Baap jahan ki mazdoori
Sota nahin aaram se ghar mein
Jesi bhi ho majboori
Bacchon ko sukh deta hai
Aur Khushiyon ka mahol
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Khud geele mein so jaye
Sukhe mein sulaye bacchon ko
Dekar Maa aanchal ki hawa
Garmi se bachaye bacchon ko
Hashr talak Maa ki Mamta ka
Paa na sakega mol
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Aaj satayega Inko
Kal Tu bhi sataya jayega
Aaj rulayega Tu Inko
Kal Tu bhi rulaya jayega
Jaisi karni waisi bharni
Hai ye badon ka Qaul
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Maa Baap ki khidmat ka sadka
Sukhanwar Teri Izzat hai
Karam Madine wale ka Aur
Tuj par Rabb ki Rehmat hai
Inke Haq mein mang dua
Tu Apne labon ko khol
Maa Baap bade anmol hein
Maa Baap bade anmol
Hukme Khuda hai Inko kabhi
Tu Uff tak bhi na bol